main is pe dooba ki tu bacha lega
ab is ke baad mira imtihaan kya lega
ye ek mela hai waada kisi se kya lega
dhalega din toh har ik apna raasta lega
main bujh gaya toh hamesha ko bujh hi jaaoonga
koi nahi hoon ki phir jala lega
kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
main us ka ho nahi sakta bata na dena use
lakeerein haath ki apni wo sab jala lega
hazaar tod ke aa jaaoon us se rishta waseem
main jaanta hoon wo jab chaahega bula lega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.