main apne khawaab se bichhda nahi aata
toh is sadi mein akela nahi aata
ajab dabaao hai un baahri hawaaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata
main teri raah se hatne ko hat gaya lekin
mujhe toh koi bhi rasta nazar nahi aata
main ik sada pe hamesha ko ghar toh chhod aaya
magar pukaarne waala nazar nahi aata
dhuan bhara hai yahan toh sabhi ki aankhon mein
kisi ko ghar mira jalta nazar nahi aata
ghazal-saraai ka daawa toh sab kare hain waseem
magar wo meer sa lahja nazar nahi aata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.