main aasman pe bahut der rah nahi sakta
magar ye baat zamin se toh kah nahi sakta
kisi ke chehre ko kab tak mein rakkhoon
mein ek hi manzar toh rah nahi sakta
ye aazmaane ki fursat tujhe kabhi mil jaae
main aankhon aankhon mein kya baat kah nahi sakta
sahaara lena hi padta hai mujh ko dariya ka
main ek quatra hoon tanha toh bah nahi sakta
laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho
mujhe ghata ke wo ginti mein rah nahi sakta
ye chand lamhon ki be-ikhtiyaariyan hain waseem
gunah se rishta bahut der rah nahi sakta
Responses
No comments yet. Be the first to respond.