lahoo na ho toh qualam tarjuman nahi hota
hamare daur mein aansoo zaban nahi hota
jahan rahega wahin raushani lutaaega
kisi ka apna makan nahi hota
ye kis maquam pe laai hai meri
ki mujh se aaj koi bad-guman nahi hota
bas ik nigaah miri raah dekhti hoti
ye saara shahar mira mezban nahi hota
tira khayaal na hota toh kaun samjhaata
zamin na ho toh koi aasman nahi hota
main us ko bhool gaya hoon ye kaun maanega
kisi charaagh ke bas mein dhuan nahi hota
waseem sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hoon jo kabhi daastan nahi hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.