kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyar na ho
wo etibaar dilaae aur etibaar na ho
hawa khilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho
ye kaisi zid hai ki kisi se paar na ho
main gaanw laut raha hoon bahut dinon ke baad
kare ki use mera intizaar na ho
zara si baat pe ghut ghut ke subh kar dena
miri tarah bhi koi mera gham-gusaar na ho
dukhi samaaj mein aansoo bhare zamaane mein
use ye kaun bataae ki ashk-baar na ho
gunaahgaaron pe ungali uthaae dete ho
waseem aaj kahin tum bhi sangasaar na ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.