kahan sawaab kahan kya azaab hota hai
mohabbaton mein kab itna hisaab hota hai
bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho
rahne se chehra kharaab hota hai
use pata hi nahi hai ki pyar ki baazi
jo haar jaae wahi kaamyaab hota hai
jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahi hota
toh koi aaj ka izzat-maaab hota hai
jise main likhta hoon aise ki khud hi padh paanw
kitaab-e-zeest mein aisa bhi baab hota hai
bahut bharosa na kar lena apni aankhon par
dikhaai deta hai jo kuchh wo khawaab hota hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.