kahan quatre ki -khwaari kare hai
samundar hai adaakaari kare hai
koi maane na maane us ki marzi
magar wo hukm toh jaari kare hai
nahi lamha bhi jis ki dastaras mein
wahi sadiyon ki tayyaari kare hai
bade aadarsh hain baaton mein lekin
wo saare kaam baazaari kare hai
hamaari baat bhi aae toh jaanein
wo baatein toh bahut saari kare hai
yahi akhbaar ki surkhi banega
zara sa kaam chingaari kare hai
bulaawa aaega chal denge ham bhi
ki kaun tayyaari kare hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.