ham apne aap ko ik masaala bana na sake
isi liye toh kisi ki mein aa na sake
ham aansuon ki tarah waaste nibha na sake
rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake
phir aandhiyon ne sikhaaya wahan ka hunar
jahan charaagh hamein raasta dikha na sake
jo pesh pesh the basti bachaane waalon mein
lagi jab aag toh apna bhi ghar bacha na sake
mire khuda kisi aisi jagah use rakhna
jahan koi mire baare mein kuchh bata na sake
tamaam umr ki koshish ka bas yahi haasil
kisi ko apne mutabique koi bana na sake
tasalliyon pe bahut din jiya nahi jaata
kuchh aisa ho ke tira etibaar aa na sake
Responses
No comments yet. Be the first to respond.