karo ki koi pyaas nazr-e-jaam na ho
wo hi nahi hai jo naa-tamaam na ho
jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai sadiyon se
kahin hayaat usi faasle ka naam na ho
koi charaagh na aansoo na aarzoo-e-sahar
khuda kare ki kisi ghar mein aisi shaam na ho
ajeeb shart lagaai hai ehtiyaaton ne
ki tera zikr karoon aur tera naam na ho
saba-mizaaj ki tezi bhi ek nemat hai
agar charaagh bujhaana hi ek kaam na ho
waseem kitni hi subhein lahoo lahoo guzrin
ik aisi subh bhi aae ki jis ki shaam na ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.