apne har har lafz ka khud aaeena ho jaaoonga
us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaaoonga
tum giraane mein lage the tum ne socha hi nahi
main gira toh masaala ban kar khada ho jaaoonga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera
raasta roka gaya toh quafila ho jaaoonga
saari duniyaa ki mein hai mira ahad-e-wafa
ik tire kahne se kya main bewfa ho jaaoonga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.