apne andaaz ka akela tha
is liye main akela tha
pyar toh janam ka akela tha
kya mira tajarba akela tha
saath tera na kuchh badal paaya
mera hi raasta akela tha
bakhshish-e-be-hisaab ke aage
mera dast-e- akela tha
teri samjhaute-baaz duniyaa mein
kaun mere siwa akela tha
jo bhi milta gale laga leta
kis quadar aaina akela tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.