aate aate mira naam sa rah gaya
us ke honton pe kuchh kaampata rah gaya
mujrim thi daaman bacha le gai
din gawaahon ki saf mein khada rah gaya
wo mire saamne hi gaya aur main
raaste ki tarah dekhta rah gaya
jhoot waale kahin se kahin badh gae
aur main tha ki bolta rah gaya
aandhiyon ke iraade toh achchhe na the
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kaandhon pe le ja rahe hain waseem
aur wo jeene ka haque maangata rah gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.