karna har ghadi us yaar ka
hai wazeefa mujh -e-beemaar ka
aarzoo-e-chashma-e-kausar nain
tishna-lab hoon sharbat-e-deedaar ka
aaquibat kya howega maaloom nain
dil hua hai mubtila dildaar ka
kya kahe taareef dil hai be-nazeer
harf harf us makhzan-e-asraar ka
gar hua hai taalib-e-aazaadgi
band mat ho subha o zunnaar ka
masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui
dekh rutba deeda-e-bedaar ka
ai wali hona sireejan par nisaar
muddaa hai chashm-e-gauhar-baar ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka