wo sanam jab soon basa deeda-e-hairaan mein aa
aatish-e- padi aql ke saamaan mein aa
naaz deta nahi gar rukhsat-e--gasht-e-chaman
ai chaman-zaar-e-haya dil ke gulistaan mein aa
aish hai aish ki us mah ka khayaal-e-raushan
shama raushan kiya mujh dil ke shabistan mein aa
yaad aata hai mujhe wo do gul-e-baagh-e-wafa
ashk karte hain makan gosha-e-daamaan mein aa
mauj-e-be-taabi-e-dil ashk mein hui jalwa-numa
jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshaan mein aa
naala-o-aah ki tafseel na poochho mujh soon
daftar-e-dard basa ishq ke deewaan mein aa
panja-e-ishq ne betaab kiya jab soon mujhe
chaak-e-dil tab soon basa chaak-e-garebaan mein aa
dekh ai ahal-e-nazar sabza-e-khat mein lab-e-laal
rang-e-yaaquoot chhupa hai khat-e-raihaan mein aa
husn tha parda-e-tajreed mein sab soon aazaad
taalib-e-ishq hua soorat-e-insaan mein aa
shaikh yahan baat tiri pesh na jaawe hargiz
aql koon chhod ke mat majlis-e-rindaan mein aa
dard-mandan ko b-juz dard nahi said muraad
ai shah-e-mulk-e-junoon gham ke bayaabaan mein aa
haakim-e-waqt hai tujh ghar mein raqueeb-e-bad-khoo
dew mukhtaar hua mulk-e-sulaimaan mein aa
chashma-e-aab-e-baqua jag mein kiya hai haasil
yoosuf-e-husn tire chaah-e-zanakhdaan mein aa
jag ke khooban ka namak ho ke namak-parwarda
chhup raha aa ke tire lab ke namak-daan mein aa
bas ki mujh haal soon ham-sar hai pareshaani mein
dard kahti hai mira zulf tire kaan mein aa
gham soon tere hai tarahhum ka mahal haal-e-wali
zulm ko chhod sajan shewa-e-ehsaan mein aa
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka