wo naaznin ada mein ejaaz hai saraapa
khoobi mein -rukhan soon mumtaaz hai saraapa
ai shokh tujh nayan mein dekha kar kar
aashique ke maarne ka andaaz hai saraapa
jag ke ada-shanaasan hai jin ki fikr aali
tujh quad koon dekh bole yoo naaz hai saraapa
kyoon ho sakein jagat ke dilbar tire baraabar
tu husn haur ada mein ejaaz hai saraapa
gaahe ai iswi-dam yak baat lutf soon kar
jan-bakhsh mujh ko tera aawaaz hai saraapa
mujh par wali hamesha dildaar meharban hai
har-chand hasb-e-zaahir tannaaz hai saraapa
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka