tira majnoon hoon sahra ki quasam hai
talab mein hoon tamannaa ki quasam hai
saraapa naaz hai tu ai pari-roo
mujhe tere saraapa ki quasam hai
diya haque -e-baala-dast tujkoon
mujhe tujh sarw-e-baala ki quasam hai
kiya tujh zulf ne jag koon diwaana
tiri zulfan ke sauda ki quasam hai
do-rangi tark kar har ik se mat mil
tujhe tujh quadd-e-raana ki quasam hai
kiya tujh ne aalam koon majnoon
mujhe tujh rashk-e-laila ki quasam hai
wali mushtaaque hai teri nigah ka
mujhe tujh chashm-e-shahla ki quasam hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka