tira lab dekh haiwan aawe
tira mukh dekh kanaan aawe
tire do nain jab dekhoon nazar bhar
mujhe tab nargisistan yaad aawe
tiri zulfan ki toolaani koon dekhe
mujhe lail-e-zamistan yaad aawe
tire khat ka zamurrad-rang dekhe
bahaar-e-sumbulistan yaad aawe
tire mukh ke chaman ke dekhne soon
mujhe firdaus-e-rizwan yaad aawe
tiri zulfan mein yoo mukh jo ki dekhe
use sham-e-shabistan yaad aawe
jo kui dekhe miri ankhiyan ko rote
use abr-e-bahaaran yaad aawe
jo mere haal ki gardish koon dekhe
use girdaab-e-gardan yaad aawe
wali mera junoon jo kui ki dekhe
use koh o bayaaban yaad aawe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka