takht jis be-khaanman ka dast-e-weeraani hua
sar upar us ke bagoola taaj-e-sultaani hua
kyoon na saafi us koon haasil ho jo misl-e-aarsi
apne jauhar ki haya soon sar-b-sar paani hua
hai jis koon daaim aalam-e-baaqui munin
jalwa-gar kab us ange yoo aalam-e-faani hua
beksi ke haal mein yak aan main tanha nahi
tira seene mein mere hamdam-e-jaani hua
ai wali ghairat soon sooraj kyoon jale nain raat-din
jag munin wo maah rashk-e-maah-e-kanaaani hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka