sohbat-e-ghair moon jaaya na karo
-mandan koon kudhaaya na karo
haque-parasti ka agar daawa hai
be-gunaahan koon sataaya na karo
apni khoobi ke agar taalib ho
apne taalib koon jalaaya na karo
hai agar khaatir-e-ushshaaque azeez
ghair koon dars dikhaaya na karo
mujh ko turshi ka hai parhez sanam
cheen-e-abroo koon dikhaaya na karo
koon hoti hai sajan betaabi
zulf koon haath lagaaya na karo
nigah-e-talkh soon apni zaalim
zahar ka jaam pilaaya na karo
ham koon bardaasht nahi ghusse ki
be-sabab ghusse mein aaya na karo
paak-baazan mein hai mashhoor wali
us soon chehre koon chhupaaya na karo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka