sharaab-e-shauque sein sarshaar hain ham
kabhoo be-khud kabhoo hushiyaar hain ham
do-rangi soon tiri ai sarw-e-raana
kabhoo raazi kabhoo bezaar hain ham
tire taskheer karne mein sireejan
kabhi naadan kabhi ayyaar hain ham
tere nayan ki aarzoo mein
kabhoo saalim kabhi beemaar hain ham
wali wasl-o- soon sajan ki
kabhoo sahra kabhoo gulzaar hain ham
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka