shaghl behtar hai -baazi ka
kya haqueequi o kya majaazi ka
har zaban par hai misl-e-shaana mudaam
zikr tujh zulf ki daraazi ka
aaj teri bhawan ne masjid mein
hosh khoya hai har namaazi ka
gar nain raaz-e- soon aagaah
fakhr beja hai fakhr-e-raazi ka
ai wali sarw-quad ko dekhoonga
waqt aaya hai sarafraazi ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka