sajan tuk naaz soon mujh paas aa aahista aahista
chhupi baatein apas ki suna aahista aahista
gharaz goyan ki baatan koon na la khaatir manin hargiz
sajan is baat koon khaatir mein la aahista aahista
har ik ki baat sunne par tawajjoh mat kar ai zaalim
raqueeban us sin howenge juda aahista aahista
mabaada mohatsib badmast sun kar taan mein aawe
tamboora aah ka ai baja aahista aahista
wali hargiz apas ke dil koon seene mein na rakh gham-gin
ki bar laawega matlab koon khuda aahista aahista
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka