rooh bakhshi hai kaam tujh lab ka
dam-e-isa hai naam tujh lab ka
ke khizr ne kiya labrez
aab-e-haiwan soon jaam tujh lab ka
mantique-o-hikmat-o-maaani par
mushtamil hai kalaam tujh lab ka
jannat-e- mein kiya haque ne
hauz-e-kausar maquam tujh lab ka
rag-e-yaaquoot ke qualam soon likhein
khat paristan payaam tujh lab ka
sabza-o-barg-o-laala rakhte hain
shauque dil mein dawaam tujh lab ka
gharque-e-shakkar hue hain kaam-o-zaban
jab liya hoon main naam tujh lab ka
misl-e-yaaquoot khat mein hai shaagird
saaghar-e-mai mudaam tujh lab ka
hai wali ki zaban ko lazzat-bakhsh
zikr har subh-o-shaam tujh lab ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka