mushtaaque hain ushshaaque tiri baanki ada ke
zakhmi hain mohibban tiri shamsheer-e- ke
har pech mein cheere ke tire lipte hain aashique
aalam ke dilan band hain tujh band-e-quaba ke
larzan hai tire dast age panja-e-khursheed
tujh age maat malaaek hain sama ke
tujh zulf ke halque mein hai dil be-sar o be-pa
tuk mehar karo haal upar be-sar-o-pa ke
tanha na wali jag munin likhta hai tire wasf
daftar likhe aalam ne tiri madh-o-sana ke
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka