muflisi sab khoti hai
mard ka etibaar khoti hai
kyoonke haasil ho muj ko jamaiyyat
zulf teri quaraar khoti hai
har shokh ki nigah ki sharaab
mujh ankhan ka khumaar khoti hai
kyoonke milna sanam ka tark karoon
dilabri ikhtiyaar khoti hai
ai wali aab us pari-roo ki
mujh sine ka ghubaar khoti hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka