mat ghusse ke shole soon jalte koon jalaati ja
tuk mehar ke paani soon tu bujhaati ja
tujh chaal ki queemat soon nin hai mira waaquif
ai maan bhari chanchal tuk bhaaw bataati ja
is raat andhaari mein mat bhool padoon tujh soon
tuk paanw ke jhaanjhar ki jhankaar sunaati ja
mujh dil ke kabootar koon baandha hai tiri lat ne
ye kaam dharam ka hai tuk us ko chhudaati ja
tujh mukh ki parastish mein gai umr miri saari
ai but ki pujanhaari tuk us ko pujaati ja
tujh ishq mein jal jal kar sab tan koon kiya kaajal
ye raushani afza hai ankhiya ko lagaati ja
tujh neh mein dil jal jal jogi ki liya soorat
yak baar use mohan chhaati soon lagaati ja
tujh ghar ki taraf sundar aata hai wali daaem
mushtaaque daras ka hai tuk dars dikhaati ja
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka