main tujhe aaya hoon iman boojh kar
baais-e-jamaiyyat-e-jan boojh kar
bulbul-e-sheeraaz koon karta hoon
koon tere gulistan boojh kar
dil chala hai ishq ka ho jauhri
lab tire laal-e-badakhshan boojh kar
har na karti hai nazaare ki mashaque
khat koon tere khatt-e-raihan boojh kar
ai sajan aaya hoon ho be-ikhtiyaar
tujh koon apna raahat-e-jan boojh kar
zulf teri kyoon na khaae pech-o-taab
haal mujh dil ka pareshan boojh kar
raham kar us par ki aaya hai wali
dard-e-dil ka tujh koon darman boojh kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka