main aashiqui mein tab soon afsaana ho raha hoon
teri nigah ka jab soon ho raha hoon
ai aashna karam soon yak baar aa daras de
tujh baaz sab jahan soon begaana ho raha hoon
baatan lagan ki mat poochh ai sham-e-bazm-e-khoobi
muddat se tujh jhalak ka ho raha hoon
shaayad wo ganj-e-khoobi aawe kisi taraf soon
is waaste saraapa weeraana ho raha hoon
sauda-e-zulf-e-khooban rakhta hoon dil mein daaim
zanjeer-e-aashiqui ka deewaana ho raha hoon
barja hai gar sunoon nain naaseh tiri naseehat
main jaam-e-ishq pi kar mastaana ho raha hoon
kis soon wali apas ka ahwaal ja kahoon main
sar-ta-quadam main gham soon gham-khana ho raha hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka