koocha-e-yaar ain kaasi hai
jogi-e- wahan ka baasi hai
pi ke bairaag ki udaasi soon
pe mere sada udaasi hai
ai sanam tujh jabin upar ye khaal
hindawi har-dwaar baasi hai
zulf teri hai mauj jamuna ki
til nazik us ke jiyoon sanaasi hai
ghar tira hai ye rashk-e-dewal-e-chin
us mein muddat soon dil upaasi hai
ye siyah-zulf tujh zanakhdan par
naagni jyoon kunwe pe pyaasi hai
taas-e-khursheed gharque hai jab soon
bar mein tere libaas-e-taasi hai
jis ki guftaar mein nahi hai mazaa
sukhan us ka taaam baasi hai
ai wali jo libaas tan pe rakha
aashiquan ke nazik libaasi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka