kiya mujh ne zaalim koon aab aahista aahista
ki aatish koon karti hai gulaab aahista aahista
wafaadaari ne dilbar ki bujhaaya aatish-e-gham koon
ki garmi dafa karta hai gulaab aahista aahista
ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalwat mein gul-roo soon
khitaab aahista aahista jawaab aahista aahista
mire dil koon kiya be-khud tiri ankhiyan ne aakhir koon
ki jyoon behosh karti hai sharaab aahista aahista
hua tujh ishq soon ai aatishin-roo dil mira paani
ki jyoon galta hai aatish soon gulaab aahista aahista
ada o naaz soon aata hai wo raushan-jabin ghar soon
ki jyoon mashrique soon nikle aaftaab aahista aahista
wali mujh dil mein aata hai khayaal-e-yaar-e-be-parwa
ki jyoon ankhiyan manin aata hai khawaab aahista aahista
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka