khoob-roo khoob kaam karte hain
yak nigah mein ghulaam karte hain
dekh khooban koon waqt milne ke
kis ada soon salaam karte hain
kya wafaadaar hain ki milne mein
soon sab raam-raam karte hain
kam-nigaahi son dekhte hain wale
kaam apna tamaam karte hain
kholte hain jab apni zulfan koon
subh-e-aashique koon shaam karte hain
saahib-e-lafz us koon kah sakiye
jis soon khooban kalaam karte hain
lajaate hain ai wali mera
sarw-quad jab khiraam karte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka