kamar us dilruba ki dilruba hai
nigah us khush-ada ki khush-ada hai
sajan ke koon tuk fikr soon dekh
ki ye aaeena-e-maani-numa hai
ye khat hai jauhar-e-aaeena-raaz
ise mushk-e-khutan kahna baja hai
hua maaloom tujh zulfan soon ai shokh
ki shaah-e- par zill-e-huma hai
na howe kohkan kyoon aa ke aashique
jo wo sheerin-ada gulgoon-quaba hai
na poochho aah-o-zaari ki haqueeqat
azeezan aashiqui ka muqatza hai
wali koon mat malaamat kar ai waaiz
malaamat aashiquon par kab rawa hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka