jis ruba soon dil koon mire ittihaad hai
deedaar us ka meri ankhan ki muraad hai
rakhta hai bar mein dilbar-e-rangin khayaal koon
maanind aarsi ke jo saaf etiquad hai
shaayad ki daam-e- mein taaza hua hai band
waade pe gul-rukhan ke jise etimaad hai
baaqui rahega jaur-o-sitam roz-e-hashr lag
tujh zulf ki jafa mein nipat imtidaad hai
maqsood-e-dil hai us ka khayaal ai wali mujhe
jyoon mujh zaban pe naam-e-mohammad muraad hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka