jab tujh araque ke wasf mein jaari qualam hua
aalam mein us ka naanw jawaahar-raqam hua
nuqte pe tere khaal ke baandha hai jin ne
wo daaere mein ke saabit-quadam hua
tujh fitrat-e-buland ki khoobi koon likh qualam
mashhoor jag ke beech ataarad-raqam hua
taaqat nahi ki hashr mein howe wo daad-khwaah
jis be-gunah pe teri nigah soon sitam hua
be-minnat-e-sharaab hoon sarshaar-e-imbisaat
tujh nain ka khayaal mujhe jaam-e-jam hua
jin ne bayan likha hai mire rang-e-zard ka
us koon khitaab ghaib soon zarrin-raqam hua
shohrat hui hai jab se tire sher ki wali
mushtaaque tujh sukhan ka arab ta ajam hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka