jab sanam koon khayaal-e-baagh hua
taalib-e-nashsha-e-faraagh hua
fauj-e-ushshaaque dekh har jaanib
naaznin saahib-e-dimaagh hua
rashk soon tujh laban ki surkhi par
jigar-e-laala daagh-daagh hua
-e-ushshaaque kyoon na ho raushan
jab khayaal-e-sanam hua
ai wali gul-badan koon baagh mein dekh
dil-e-sad-chaak baagh-baagh hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka