mein sabr-o-raza darkaar hai
fikr-e-asbaab-e-wafa darkaar hai
chaak karne jaama-e--o-quaraar
dilbar-e-rangin quaba darkaar hai
har sanam taskheer-e-dil kyoonkar sake
dilrubaai koon ada darkaar hai
zulf koon wa kar ki shaah-e-ishq koon
saaya-e-baal-e-huma darkaar hai
rakh quadam mujh deeda-e-khoon-baar par
gar tujhe rang-e-hina darkaar hai
dekh us ki chashm-e-shahla koon agar
nargis-e-baagh-e-haya darkaar hai
azm us ke wasl ka hai ai wali
lekin imdaad-e-khuda darkaar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka