betaab-e-jan-gudaazi hai
mushtaaque-e-dil-nawaazi hai
ashk khoonin soon jo kiya hai wazoo
mazhab-e-ishq mein namaazi hai
jo hua raaz-e-ishq soon aagaah
wo zamaane ka fakhr-e-raazi hai
paak-baazan soon yoon hua mafhoom
ishq mazmoon-e-paak-baazi hai
ja ke pahunchi hai hadd-e-zulmat koon
bas-ki tujh zulf mein daraazi hai
tajarbe soon hua mujhe zaahir
naaz mafhoom be-niyaazi hai
ai wali aish-e-zaahiri ka sabab
jalwa-e-shaahid-e-majaazi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka