fida-e-dilbar-e-rangin-ada hoon
shaheed-e-shaahid-e--goon-quaba hoon
har ik mah-roo ke milne ka nahi zauque
ke aashna ka aashna hoon
kiya hoon tark nargis ka tamaasha
talabgaar-e-nigaah-e-ba-haya hoon
na kar shamshaad ki taareef mujh paas
ki main us sarw-quad ka mubtala hoon
kiya main arz us khursheed-roo soon
tu shaah-e-husn main tera gada hoon
sada rakhta hoon shauque us ke sukhan ka
hamesha tishna-e-aab-e-baqua hoon
quadam par us ke rakhta hoon sada sar
wali ham-mashrab-e-rang-e-hina hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka