talabgaar-e-naaz-e-mah-wash hai
lutf us ka agarche dilkash hai
mujh soon kyoon kar milega hairan hoon
shokh hai bewfa hai sarkash hai
kya tiri zulf kya tire abroo
har taraf soon mujhe kashaakash hai
tujh bin ai daagh-bakhsh-e-seena o
chaman-e-laala dasht-e-aatash hai
ai wali tajarbe soon paaya hoon
shola-e-aah-e-shauque be-ghash hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka