koon tujh baaz be-quaraari hai
chashm ka kaam ashk-baari hai
-e-furqat mein monis o hamdam
be-quaraaron koon aah-o-zaari hai
ai azeezan mujhe nahi bardaasht
sang-dil ka firaaque bhaari hai
faiz soon tujh firaaque ke saajan
chashm-e-giryan ka kaam jaari hai
fauquiyat le gaya hoon bulbul soon
garche mansab mein do-hazaari hai
ishq-baazon ke haque mein quatil ki
har nigah khanjar o kataari hai
aatish-e-hijr-e-laala-roo soon wali
daagh seene mein yaadgaari hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka