dekhna har subh tujh rukhsaar ka
hai mutaala matla-e-anwaar ka
bulbul o parwaana karna ke tain
kaam hai tujh chehra-e--naar ka
subh tera dars paaya tha sanam
shauque-e-dil mohtaaj hai takraar ka
maah ke seene upar ai shama-roo
daagh hai tujh husn ki jhalkaar ka
dil koon deta hai hamare pech-o-taab
pech tere turra-e-tarraar ka
jo sunya tere dahan soon yak bachan
bhed paaya nuskha-e-asraar ka
chaahta hai is jahan mein gar bahisht
ja tamaasha dekh us rukhsaar ka
aarsi ke haath soon darta hai khat
chor koon hai khauf chaukeedaar ka
sar-kashi aatish-mizaaji hai sabab
naasehon ko garmi-e-bazaar ka
ai wali kyoon sun sake naaseh ki baat
jo diwaana hai pari-rukhsaar ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka