chhupa hoon main sada-e-baansuli mein
ki ta jaaoon pari-roo ki gali mein
na thi mujhe aane ki lekin
b-zor-e-aah pahuncha tujh gali mein
ayan hai rang ki shokhi soon ai shokh
badan tera quaba-e-sandali mein
jo hai tere dahan mein rang o khoobi
kahan ye rang ye khoobi kali mein
kiya jiyoon lafz mein maani sireejan
maquam apna -o-jaan-e-wali mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka