bhadke hai ki aatish tujh neh ki hawa soon
shola namat jala dil tujh -e-shola-za soon
gul ke charaagh gul ho yak baar jhad padein sab
mujh aah ki hikaayat bolein agar saba soon
nikli hai jast kar kar har sang-dil soon aatish
chaqumaaque jab palak ki jhaada hai toon ada soon
sajda badal rakhe sar sar-ta-quadam araque ho
tujh ba-haya ke pag par aa kar hina haya soon
yan dard hai param ka behooda sar kahe mat
ye baat sun wali ki ja kar kaho dawa soon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka