agar gulshan taraf wo nau-khat-e-rangin-ada nikle
o raihan soon rang-o-boo shitaabi peshwa nikle
khile har ghuncha-e- jyoon gul-e-shaadaab shaadi soon
agar tuk ghar soon baahar wo bahaar-dil-kusha nikle
ghaneem-e-gham kiya hai fauj-bandi ishq-baazan par
baja hai aaj wo raaja agar naubat baja nikle
nisaar us ke quadam oopar karoon anjhuwan ke gauhar sab
agar karne koon dil-jooi wo sarw-e-khush-ada nikle
sanam aae karoonga naala-e-jan-soz koon zaahir
magar us sang-dil soon meharbaani ki sada nikle
rahe maanind-e-laal-e-be-baha shaahan ke taaj oopar
mohabbat mein jo kui asbaab zaahir koon baha nikle
bakheeli dars ki hargiz na keejo ai pari-paikar
wali teri gali mein jab ki maanind-e-gada nikle
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka