aashique ke mukh pe nain ke paani ko dekh toon
is aarsi mein raaz-e-nihaani koon dekh toon
sun be-quaraar ki awal aah-e-shola-khez
tab is haraf mein ke maaani koon dekh toon
khoobi soon tujh huzoor o shama dam-zani mein hai
us be-haya ki charb-zabaani koon dekh toon
dariya pe ja ke mauj-e-rawan par nazar na kar
anjhuwan ki mere aa ke rawaani koon dekh toon
tujh shauque ka jo daagh wali ke jigar mein hai
be-taaquti mein us ki nishaani koon dekh toon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka