aaj sarsabz koh o sahra hai
har taraf sair hai tamaasha hai
chehra-e-yaar o quamat-e-zeba
-e-rangeen o sarw-e-raana hai
maani-e- o maani-e-khoobi
soorat-e-yaar soon huwaida hai
dam-e-jan-bakhsh nau-khatan muj koon
chashma-e-khizr hai maseeha hai
kamar-e-naazuk o dahaan-e-sanam
fikr baareek hai muamma hai
moo-b-moo us koon hai pareshaani
zulf-e-mushkin ka jis koon sauda hai
kya haqueeqat hai tujh tawaazo ki
yoo talattuf hai yaa mudaawa hai
sabab-e-dilrubaai-e-aashique
mehar hai lutf hai dilaasa hai
joon wali raat din hai mahw-e-khayaal
jis koon tujh wasl ki tamannaa hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
raah-e-mazmoon-e-taaza band nahin
taa qayaamat khula hai baab-e-sukhan
jise ishq ka teer kaari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka aitbaar khoti hai
dekhna har subah tujh rukhsaar ka
hai mutaala mujh dil-e-bimaar ka