wo toh khush-boo hai hawaaon mein bikhar jaaega
masaala ka hai phool kidhar jaaega
ham toh samjhe the ki ik zakhm hai bhar jaaega
kya khabar thi ki rag-e-jan mein utar jaaega
wo hawaaon ki tarah khana-b-jan phirta hai
ek jhonka hai jo aaega guzar jaaega
wo jab aaega toh phir us ki rifaaqat ke liye
mausam-e- mire aangan mein thahar jaaega
aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jaaega
mujh ko tahzeeb ke barzakh ka banaaya waaris
jurm ye bhi mire ajdaad ke sar jaaega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein