teri khushboo ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
choom kar ko aahista se
mojza baad-e-saba karti hai
khol kar band-e-quaba ke hawa
aaj khushboo ko riha karti hai
abr baraste toh inaayat us ki
shaakh toh sirf dua karti hai
zindagi phir se faza mein raushan
mishaal-e-barg-e-hina karti hai
ham ne dekhi hai wo ujli saaat
raat jab sher kaha karti hai
shab ki tanhaai mein ab toh aksar
guftugoo tujh se raha karti hai
dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab toh
tere kahne mein raha karti hai
us ne dekha hi nahi warna ye aankh
dil ka ahwaal kaha karti hai
mushaf-e-dil pe ajab rangon mein
ek tasweer bana karti hai
be-niyaaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karti hai
dekh tu aan ke chehra mera
ik nazar bhi tiri kya karti hai
zindagi bhar ki ye taakheer apni
ranj milne ka siwa karti hai
shaam padte hi kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jan mein sada karti hai
masaala jab bhi charaaghon ka utha
faisla sirf hawa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo tera ana karti hai
dukh hua karta hai kuchh aur bayan
baat kuchh aur hua karti hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein