shauque-e-raqs se jab tak ungaliyan nahi khultin
paanw se hawaaon ke bediyan nahi khultin
ped ko de kar kat gai bahaaron se
itne badh aae khidkiyan nahi khultin
phool ban ke sairon mein aur kaun shaamil tha
shokhi-e-saba se toh baaliyan nahi khultin
husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan
do ghadi ki chaahat mein ladkiyan nahi khultin
koi mauja-e-sheerin choom kar jagaaegi
soorjon ke nezon se seepiyan nahi khultin
man se kya kahengi dukh hijr ka ki khud par bhi
itni chhoti umron ki bachchiyan nahi khultin
shaakh shaakh sargardan kis ki justujoo mein hain
kaun se safar mein hain titliyan nahi khultin
aadhi raat ki chup mein kis ki chaap ubharti hai
chhat pe kaun aata hai seedhiyan nahi khultin
paaniyon ke chadhne tak haal kah sakein aur phir
kya quayaamtein guzrin bastiyan nahi khultin
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein