wahi lekin sitaara aur hai
ab ka istiaara aur hai
ek mutthi ret mein kaise rahe
is samundar ka kinaara aur hai
mauj ke mudne mein kitni der hai
naaw daali aur dhaara aur hai
jang ka hathiyaar tay kuchh aur tha
teer seene mein utaara aur hai
matn mein toh jurm saabit hai magar
haashiya saare ka saara aur hai
saath toh mera zamin deti magar
aasman ka hi ishaara aur hai
dhoop mein deewar hi kaam aaegi
tez baarish ka sahaara aur hai
haarne mein ik ana ki baat thi
jeet jaane mein khasaara aur hai
sukh ke mausam ungaliyon par gin liye
fasl-e-gham ka goshwaara aur hai
der se palkein nahi jhapkin miri
pesh-e-jan ab ke nazaara aur hai
aur kuchh pal us ka rasta dekh loon
aasman par ek taara aur hai
had charaaghon ki yahan se khatm hai
aaj se rasta hamaara aur hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein